Ehsaas
Pyaar?
Kya khoobsurat khwaab hai ya haqiqat. Kise pata?
Magar kuch khaas ehsaas to zrur hai isme.
Jo ye haseen mausam me khud hi man khush ho jata hai,
Kise pe jo apna sab kuch nisaar karne ko dil chahta hai,
Wo pyaar hi to hai koi khwaab to nahi,
Najane kitne kalakar die hai is ehsaas ne hme,
Kuch gayak to kuch lekhak,
Pyaar ne to bas dena sikhaya hai hme,
Tufaani mausam me pedo ki tarah jo ye dil bhi abaad hona chahta hai,
Ye bhi haseen khwaab sa lagta hai
Ye haqiqat nahi to aur kya hai?
Satinder paaji ke gaane sunkar jo dil mand mand muskurata hai, pyaar ki gehrai ko samjhta hai...
Unke sukh ki vajah banna,
Aur dukh ka saathi,
Ye pyaar nahi to kya hai?
Pyaar to sirf insaan ko insaaniyat sikhata hai,
Unki zrurt khud se upar rakhna,
Ye ek dilkash raza nahi to aur kya hai ?
Khwaab thodi hai janab ek sundar haqiqat hai
Jis trh chaand un samundar ki lehron ko pareshan krta hai,
Us kadar pareshan hone me bhi khushkismati ka ehsaas haqiqat nahi to kya khwaab hai?
Pehli baarish ka wo sunhaira nazara,
Halke halke bheege hue jodo ka ek dusri ki chata ban jana,
Gilli mitti ki saundhi khushboo,
Ye pyaar nahi to kya hai?
Jiska dil saaf hai uske lie toh pyaar har jagah hai yaaro,
Apne andar dekho zara,
Pyaar hi pyaar hoga,
Vha nahi hoga to kahi nahi hoga,
Khudse pyaar kro,
Khudse nahi hoga toh kisi aur se kya khaak hoga?
Is anmol ehsaas ko do chaar chnd rishton me bandna hi kyu hai?
Ise akhir badnam karna hi kyun hai?
Kya ye pyaar ki tauheen nahi?
Ye toh ek paak masoomiyat hai janab
Kabhi khwaab to kabhi haqiqat sa lagta hai.....
Pyaar asal me khwaab nahi duniya ki sabse pyaari haqiqat hai.
Sabse pyari haqiqat hai.
-Himanshi



❤️❤️❤️
ReplyDelete♾️♾️♾️♾️♾️
ReplyDelete❤️keep on writing❤️
ReplyDeletePyaar/ishq/mohabbat na jane kitne he naam h is masum ehsaas ke...
ReplyDeleteKuch to khaas baat h isme varna itne khubsurat shayar na milte hme.
Anand Bakshi was right when he wrote "pyaar diwana hota h mastana hota h... "
Pyaar wo emotion h jo bina bole he ankhon se convey ho jata h. Ye pyaar he to hai jiske liye insan apni saari hade par kar jata h taki use chahne wale khush rahe. Jo insan pyaar me hota wo sabko khush rakhna chahta h isi liye to ye itna khubsurat ehsas h.
Jab se ye duniya bani h tab se he mohabbat ke kisse zinda h aur jab tak ye duniya rahegi tab tak ye mohabbat ke kisse zinda rahenge. I will end this by quoting Abbas Tabish "Ye mohabbat ki kahani ni marti lekin, log kirdar nibhate hue mar jate h" . I hope that the writer gets true love in her life and stay loved...very beautifully written 💕💕